Monday 25 November 2013

Tere milney ko be-kal hogaye hain by Nasir Kazmi

Tere Milnay Ko Be-Kal Hogaye Hain
Magar Ye Loog Paagal Hogaye Hain

Bahaarain Le Ke Aaye Thay Jahaan Tum
Wo Ghar Sunsaan Jangal Ho Gaye Hain

Yahaan Tak Barh Gaye Aalaam-e-Hasti
Ke Dil Ke Honslay Shal Ho Gaye Hain

Unhain Sadyon Na Bhoolay Ga Zamaana Yahaan
Jo Haadsay Kal Ho Gaye Hain

Jinhain Hum Dekh Kar Jeetay Thay Nasir
Wo Loog Aankhon Se Ojhal Ho Gaye Hain

Saturday 23 November 2013

Adhori baten hi zindagi hain!

Adhori batain hi zindagi hain
Wo guzari batain hi zindagi hain
Agarcha dil ki udas ujari hoi roton me Bikhar gai hain Kai zamanon se sari batain
Wo guzri batain Sulagti shamon k jalte bujhte alao hi me Pighal gai hain
Adori batain Zaroori batain……
Yeh khushk hoti hoi raggon ki siyah qabron main neem-murda
Dassi hoi khuwahishon ke hamrah Gondhi hoi hain
Yeh ankh ki putliyon me thak k Khatakti palkon pe so gai hain
Tamam batain dorust jaana
Tamam khadshe baja hain lekin
Har ik imkan zindagi me
Ragon me aur rooh ki zameen me
Inhi ki yaden bhatak rahi hain
Inhi ke dum se zaeef jazbon,thatharte lafzon Bojhi tamanaon mai ramaq hai
Adhori batain hi zindagi hain
Wo guzri batain hi zindagi hain
Khayal rakhna………..!
Adhori batain bhola na dena Wo guzri batain bhola na dena
Khayal rakhna Khayal rakhna………..!!

Monday 11 November 2013

Laut ao by wasi shah

Abhi kuch bhi nahin badla,
Darakhton par wohi mausam abi tak muskuratey hain,
Abhi tak surmeyi shamain hamarey sath roti hain,
Abhi tak mere honton per tumhare honton ki khushbu Raqss karti hai, Abhi tak meri ankhon mein tumhare khawb hanstey hain,
Abhi tak mere hathon per tumhari ungliyon ki narm pooron se likhey sab harf zinda hain,
Abhi tak mere seeney mein tumhari saans chalti hai,
Abhi to raston par doodhiya pairon se parney waley sarey naqsh qayem hain, Abhi almaariyon mein sarey tohfey gungunatey hain,
Tumhare khat abhi bhi raat ki tanhai mein mujh se,
Tumhari baat kartey hain,
Bohat se saal guzrey hain, Bohat se waqt beeta hai,
Meri chahat nahin beeti,
Meri himmat nahin guzri,
Abhi kuch bhi nahin badla,
Abhi kuch bhi nahin badla,
Agar chaho,
Agar samjho,
Meri maano,
To laut aao

Kaun?? By jon Elia

Kaun sood-o-ziyaa'n ki duniya mein
Dard-e-ghurbat ka sath deta hai,
Jab muqaabil hon ishq aur daulat
Husnn daulat ka saath deta hai..

Qasidaan-e-Dil by john Elia

Yun to apne qasidaan-e-dil ke paas,
Jane kis kis ke liye peghaam hain, Jo likhe jaate rahe aur'on ke naam,
Mere woh khat bhi tumhare naam hain..

Bazaar! by John Elia

Hai yeh baazaar jhoot ka bazaar,
Phir yehi jinss kyun na tolain hum,
Karke ik doosre se ehd-e-wafaa,
Aao kuch der jhoot bolain hum..

Friday 8 November 2013

Bila jawaaz!! By noshi gilani

Bila Jawaaz Rakhain Khud Ko Beqaraar Bhee Kiun?
Jo TU Nahee Hai Tou Phir Tera Intezaar Bhee Kiun?
Akailay Pan Ka Safar Jab Mera Muqaddar Hai
Tou Phir Ay Waada-Shikan Tera Intezaar Bee Kiun?
Ose Ganwa Ke Ab Raho Khizaaon Ki Zad Mein
Jo Wo Nahee Hai Tou Phir Mausam-e-Bahaar Bhee Kiun ?
Agar Bhulaaye Howay Osko Ek Umar Howi
Tou Phir Ye Aaj Tabyat Hai Sogwaar Bhee Kiun ?
Jab Osko Shoq Tha Raston Ki Dhool Honay Ka
Palat Kar Dekhta Jaata Tha Baar Baar Bhee Kiun ?

Thursday 7 November 2013

A romantic poem by Qateel Shifai

Jism Ke Jazeeray Mein,
Ye Jo Dil Ki Vaadi Hai
Is Pe Raaj Hai Jis Ka,
TU Wo Shehzaadi Hai
Apnay Dar Pe Sajdon Ki Raah Kia Dikha Di Hai
TU Ne Mere Maathay Per Zindagi Sajaa Di Hai
Tujh Ko Bhoolna Chaahon, Aur Shikast Khaa Jaon
Kitni Be-Waqar Apni Quwwat-e-Iraadi Hai
Justuju Ke Sehraa Mein Ab Kahan Koi Aanchal ?
Mein Ne Apni Chhaon Bhi Dhoop Mein Ganwa Di Hai
Yaad Kar Ay Taaj Kubhi Tu Bhi Os Mohabbat Ko
Jis Ne Tere Marmar Ko Chaandni Pila Di Hai
Mera Saath Kia Dega Shaikh Barsar-e-Mehfil ?
Wo TOu Chhup Ke Baichaarah Jhoomnay Ka Aadi Hai
Dost Sab Qateel Apnay Tul Gaye Raqaabat Per
Mein Ne Koi Dil Ki Baat Jub Unhain Suna Di Hai

Sunday 27 October 2013

By munir niazi

Kisi Ko Apnay Amal Ka Hisaab Kya Detay ?
Sawaal Saaray Ghalat Thy Jawab Kya Detay ?
Kharab Sadyon Ki Be-Khwabiyan Theen Aankhon Main
Ab In Be-Aant Khala'on Main Khwaab Kya Detay ?
Hawa Ki Tarha Musafir Thy Dilbaron K Dil
Unhain Bus Aik Hee Ghar Ka Azaab Kya Detay ?
Sharaab Dil Ki Talab Thi Sharaa K Pehray Main
Hum Itni Tangi Main Us Ko Sharaab Kya Detay ?
Munir Dasht Shuroo Se Saraab Aasa Tha
Os Aainay Ko Tamanna Ki Aab Kya Detay?

Tuesday 15 October 2013

By noshi gilani

Shaam Ko Sogwaar Kartay Rahay
Ham Tera Intezaar Kartay Rahay

TU Tou Kaar-e-Jahan Mein Tha Masroof
Aur Hum Tujh Se Pyaar Kartay Rahay

Kis Lye Vasl Ki Kahani Mein
Hijr Ko Hissaydaar Kartay Rahay

Dil Ko Bas Mubtala-e-Gham Rakha
Wehshaton Ka Shumaar Kartay Rahay!!

Thursday 10 October 2013

By ahmed nadeem qasmi

Dil mein hum aik hi jazbe ko samoyen kese, Ab tujhe paa ke yeh uljhan hai ke khoye kese,

Zehen chhalni jo kiya hai, to yeh majboori hai,
Jitne kaante hain, woh talwon mein piroyen kese,

Hum ne maana ke bohat dair hai hashar aney tak,
Chaar janib teri aahat ho to soyen kese,

Kitni hasrat thi, tujhe pass bitha ker rotay,
Ab yeh yeh mushkil hai, tere samne roye kese…!

Thursday 3 October 2013

Angraai!! By qateel shifai

angrai par angrai leti hai rat judai ki tum kya samjho tum kya jano bat meri tanhai ki

kaun siyahi ghol raha tha waqt k bahte dariya mein
main ne ankh jhuki dekhi hai aj kisi harjai ki wasl ki

rat na jane kyun israr tha unko jane par
waqt se pahle dub gae taron ne bari danai ki

urte urte as ka panchi dur ufaq mein dub gaya rote rote baith gai awaz kisi saudai ki

Mai din ko kahon raat wo iqraar kry

Main Din ko Kahon Raat Wo Iqraar Kry.
Mujhko Hasrat hai Koi Youn Bhi Mujhe Piyaar Kry

Meri Khatir Wo Sahy Dunya ke Ta'ny , Dhaky
Nangy Pairon se Wo Seharaoun ke Kanty Chakhy.

Mujhko Paany Ke Liye June k Rozy Rakhy.
Main Hon Dewana, Wo Dewno Sa Izhaar Kry

Main Din ko Kahon Raat Wo Iqraar Kry.
Mujhko Hasrat hai Koi Youn Bhi Mujhe Piyaar Kry

By Wasi Shah

Monday 30 September 2013

Hum hi mein thi.. By hafeez jalandari

Hum hi mein thi na koi baat yaad na tumko aa sake
tumne hamein bhulaa diya hum na tumhein bhulaa sake!

tum hii na sun sake agar, qissa-e-ghum sunegaa kaun
kis kii zubaaN khulegii phir, ham na agar sunaa sake

hosh meN aa chuke the ham, josh meN aa chuke the tum
bazm kaa rang dekh kar sar na magar uThaa sake

raunaq-e-bazm ban gaye, lab pe hikaayateN rahiiN
dil meN shikaayateN rahiiN, lab na magar hilaa sake

ijz se aur baDh gaii barhamii-e-mizaaj-e-dost
ab voh kare ilaaj-e-dost jis kii samajh meN aa sake

shouq-e-visaal hai yahaaN, lab pe savaal hai yahaaN
kiskii majaal hai yahaaN ham se nazar milaa sake

ahle zubaaN to haiN bohat, koii nahiiN hai ahl-e-dil
kaun terii taraH Hafeez dard ke geet gaa sake

Tmhari rah se bhatken tou manzil par pohanch jaen

Mohabbaten jab shumaar krna

Sunday 29 September 2013

Dukh Fasanaa nahii!

Dukh fasana nahi k tujh se kahain
Dil bhi mana nahi k tujh se kahain,
Ek tu harf aashna tha magar
Ab zamana nahi k tujh se kahain,
Ae khuda dard e dil hai bakhshish e dost
Aab o daanaa nahi k tujh se kahain
Be tarah haal e dil hai aur tujh se
Dostana nahi k tujh se kahain
Qasidaa hum faqeer logon ka
Ek thikana nahi k tujh se kahain
Ab to barson se us gali men FaRAZ
Aana jaana nahi k tujh se kahain

"Mumkin hai chashm e numm" by Ahson Talish

Mumkin hai tum b koi ishara na kar sako
Mumkin hai zeher de kar ada kar do zindagi
Mumkin hai ye karam b dobara na kar sako
Mumkin hai mera hukum b tum ko qabool ho
Mumkin hai iltija b gawara na kar sako
Mumkin hai do qadam pe badal jao rasta
Mumkin hai umr bhar b kinara na kar sako
Mumkin hai meray bagair bhee bita lo zindagi
Mumkin hai apnay saath bhee guzara na kar sako

Mumkin hai chashm-e-Numm teri, tera gharoor ho
Mumkin hai k ye aag, pani se dur ho

Mumkin hai saraiyat karay ye zeher ragon main
Mumkin hai zeher ka asar dur dur ho
Mumkin hai k mumkin na ho yun mera palatna
Mumkin hai iztairab main bhee kuch suroor ho
Mumkin hai aa b jao tum meray khayal main
Mumkin hai dur dur ho..  

By Ahson Talish

Thursday 16 May 2013

Wo Be-irada Hi Sahi

Wo Be-irada Hi Sahi, Titlioon Mein Rehta Hai
Ke Mera Dil To Meri Muthioon Mein Rehta Hai

Mein Apne Hath Se Dil Ka Ghala Daba Doon Gi
Mere Khilaaf Yahi Shazishoon Mein Rehta Hai

Bacha Ke Khud Ko Ghuzrna Mahaal Lagta Hai
Tamam Shehar Mere Rastoon Mein Rehta Hai

Meri Kitaab-E-Mohabbat Mein Uska Ziker Nahi
Wo Khush Khayal Ghalat Fehmioon Mein Rehta Ha

Noshi Gillani

Kuch Bhi Kar Guzarny Mein Dair Kitni Lagti Hy

Kuch Bhi Kar Guzarny Mein Dair Kitni Lagti Hy?
Barf Ky Pighalny Mein Dair Kitni Lagti Hy?

Uss Ny Hans Kar Dekha To Muskura Diye Hum Bhi
Zaat Sy Nikalny Mein Dair Kitni Lagti Hy?

Hijar Ki Tamazat Sy Wasl Ky Alaao Tak
Larkiyon Ky Jalny Mein Dair Kitni Lagti Hy?

Baat Jaisi Be-Ma'ani Baat Aur Kia Ho Gi?
Baat Ky Mukarny Mein Dair Kitni Lagti Hy?

Za'am Kitna Karty Ho Ik Charagh Per Apny
Aur Hawa Ky Chalny Mein Dair Kitni Lagti Hy?

Jab Yaqeen Ki Banhon Per Shak Ky Paon Parr Jaen
Choriyan Bikharny Mein Dair Kitni Lagti Hy?

Noshi Gillani

Ankhon Ke Paar Chaand

Yeh Jo Fiza Naward Hai Ankhon Ke Paar Chaand
Bichrey Huyon Ka Dard Hai Ankhon Ke Paar Chaand

Utra Tha Ek Ajeeb Sa Khadsha Milan Ki Raat
Ab Tak Kahein Pe Zard Hai Ankhon Ke Paar Chaand

Aandhi Koi Thaher Si Gai Hai Fizaon Mein
Shab Bhar Se Gard Gard Hai Ankhon Ke Paar Chaand

Shaid Woh Phir Udas Raha Hai Tamaam Shab
Dekho To Kitna Sard Hai Ankhon Ke Paar Chaand

Pheli Hai Yon Tumhari Muhabbat Ke Ab Humein
Har Soo Har Ake Fard Hai Ankhon Ke Paar Chaand

Farhat Abbas Shah

Samay Samay Ki Khalish

Samay Samay Ki Khalish Men Tera Malal Rahe
Judaiyon Men Bhi Yun Alam-E-Visal Rahe

Ana Ki Jang Men Ham Jeet To Gaye Lekin
Phir Us Ke Bad Bahut Der Tak Nidhal Rahe

Rah-E Junun Men Yahi Zad-E-Rah Hotaa Hai
Ke Justaju Bade Divanagi Bahal Rahe

Hasin Raten Bhi Mahaken Tumhari Yadon Se
Karde Dinon Men Bhi Pal Pal Teraa Khayaal Rahe

Farhat Abbas Shah

Monday 6 May 2013

Zindagi...

Meri Zindagi to FiraaQ hai Wo Azal se Dil k Makeen Sahi

Wo Nigah-e-Shoq se Door hai
Rag-e-Jaan se Laakh Qareeb Sahi..

Sar-e-Toor ho
Sar-e-Hashar ho,
Hamain Intizaar Qabool hai

Wo Kabhi miley
wo kahin miley,
Wo kabhi Sahi
wo kahin Sahi..

Kya, agar Mera un pr Bus nahi,
k ye Aashqi hai Hawas nahi

Main Unhi ka tha
Main Unhi ka hon,
Wo Mere nahi to na Sahi..

Jo ho Faisla woh sunaiye,
Usey Hashar pr na Uthaiye

Jo karen ge Aap Sitam wahan,
wo abhi sahi
wo yahin Sahi..

Usey dekhne ki jo Loo lagi,
to dekh hi lain ge HuM
kubhi
Wo Hazaar Aankh se Door ho,
Wo Hazaar
Parda-Nasheen Sahi

Tuesday 26 March 2013

Raqs karny ka mila hukm!!

Raqs karny ka mila hukm jo dariyaon men.

Ham ne khush ho k bhanwar bandh liye paaon men.

Un ko bhi hai kisi bhegy hoy manzar ki talash.

Boond tak bo na saky jo kabhi sehraon men.

Ay mere hamsafro tum bhi thaky haary ho.

Dhop ki tum to milawat na karo chhaon men.

Jo bhi aata hai btata hai naya koi Elaaj.

Bat na jay tera bimaar masihaon men.

Hosla kis men hai Yusof ki kharidari ka.

Ab to mehngai k charchy hain Zulekhaon men.

Jis barehman ne kaha hai k ye saal acha hai.

Os ko dafnao meri haath ki rekhaon men.

Wo khuda hai , kisi tooty hoy dil men ho ga.

Masjidon men osy dhondo na kalesaon men.

Tuesday 19 March 2013

Mainne dekha tha un dino mai usy!!

Mainne dekha tha un dino mai usy,
Jb wo khilty gulab jasa tha,
Uski palko se neend chanti thi,
Uska lehja sharab jaisa tha,

Uski zulfo se bhegti thi ghataa,
Uska rukh mahtaab jasa tha,
Log partey they khal~o~khad usky,
Wo adab ki kitaab jasa tha,

Bolta tha zubaan khushbu ki,
Log suntay thay dharkano mai usy,
Maine dekha tha un dino ma usy…

Sari Aakhain thi aaina uski,
Saray chehro ma intekhaab tha wo,
Sb se ghul mil kar ajnabi rehna,
Ik darya noma saraab tha wo,

Khuwaab ye hai k wo haqeeqat tha,
Ye haqeeqat hai koi khawaab tha wo,
Dil ki dharti pe aasman ki tarah,
Surat-e-saya -e sahaab tha wo,

Apni neendain usi ki nazar hoien,
Maine paya tha rutjago ma usy,
Maine dekha tha un dino mai usy…

Jab wo hansS hansS k baat karta thaaa,
Dil k khaimey mai raat karta tha,
Rang party thay achalon mai usky
Maine Dekha tha un dino mai usay…

Ye magar dair ki kahani hai,
Ye magar door ka fasana hai,

Usky mery milaap ma hayil
ab to sadyon bhara zamana hai,

Ab to yun hai haal apna bhi
Dasht-e-hijraan ki shaam jesa hai

Kia khabr in dino wo kaisa hai,
Kia khabr in dino wo kaisa hai,

Ma ne dekha tha un dino mn usy,

Jb wo khilty gulab jasa tha…

Thursday 14 March 2013

Sabab!


Buland! Mohsin Naqvi


Har shak e Sar bureda naqeeb e Bhar the !

Har shak e Sar bureda naqeeb e Bhar the !
Fasl e khazaan bhe ab k bari Ba-Wqar the !!

Har Sang e meel per thin saleebain garri hovi 
Shayad wo rah guzar tere raha-Guzaar the !! 

Me Tere ahatoo pe tawaja na kar saka !!
Mere hayat , Waqf e Gham e intazar the !!

aakhir sakoon mila usay Dasht e Nigah me!
Wo arzoo jo dil me ghareeb-ul-diyaar the!!

Mujhko tere khushboo k sath sath
mere sada bhe dosh e hawa pe sawar the

kuch me bhe aansoo ki numaish na kar saka
kuch apki nazar bhe tagful shayar the !!!

Mudat k bad mujhko mili itfaaaq se
wo ik ghari k tere tabiet pe baar the !!!

Ye Hadsa hai me tere mehfil me chup raha
Hala,kay wo fiza bhe bari sazgar the !!

wo jin k qehqhoo se lazarti the Zindagi
Kehty hain unki aankh bari sogwar the

Mohsin bana tha me bhe musawar kabhi, magar
Theri se ic lakeer mera shahkar the !!!!!!!

Mohsin naqvi

Wednesday 6 March 2013

اشفاق احمد

آپ اپنی کار دس پندرہ میل پہاڑ کے اوپر لے جا سکتے ہیں لیکن آپ کو یقین ہوتا ہے کہ چوٹی پر پہنچنے کے بعد پھر اترائی ہی اترائی ہے۔ یہ یقین اس لیے ہوتا ہے کہ آپ قدرت کے رازوں سے واقف ہیں اور پہاڑ کے خراج کو سمجھتے ہیں۔ آپ کو پتہ ہے کہ دنیا میں کوئی بھی کار مسلسل اوپر ہی اوپر نہیں جا سکتی، نہ ہی نیچے ہی نیچے جا سکتی ہے۔ یہ صورتیں بدلتی رہتی ہیں۔
آپ کی زندگی میں بھی یہی اصول کارفرما ہے۔ چینی فلسفے والے اس کو ین اور یانگ کے نام سے پکارتے ہیں۔ ہم لوگوں سے زندگی میں یہی غلطی ہوتی ہے کہ ہم لوگ متبادل کے راز کو پکڑتے نہیں ہیں، جو شخص آگے پیچھے جاتی لہر پر سوار نہیں ہوتا وہ ایک ہی مقام پر رک کر رہ جاتا ہے۔ (گلائیڈر جہازوں کے پائلٹ اس راز کو خوب سمجھتے ہیں) وہ یہی سمجھتا رہتا ہے کہ پہاڑ پہ اوپر ہی اوپر جانا زندگی سے نیچے آنا موت ہےئ۔ وہ زندگی بھر ایک نفسیاتی لڑائی لڑتا رہتا ہے اور ساری زندگی مشکلات میں گزار دیتا ہے۔
ایک سمجھدار انسان جب زندگی کے سفر پر نکلتا ہے تو آسان راستہ اختیار کرتا ہے۔ وہ بلندی پر جانے کا پروگرام بنا کر نہیں نکلتا کہ نشیب میں اترنے کے خوف سے کانپتا رہے وہ تو بس سفر پر نکلتا ہے اور راستے سے جھگڑا نہیں کرتا۔ جو جھگڑا نہیں کرتا، وہ منزل پر جلد پہنچ جاتا ہے۔

اشفاق احمد

kami!

مجھ میں کمی یہ ہے کہ مجھے ایسا وقت نہیں ملتا، ایسی دھوپ نہیں ملتی، ایسا لان نہیں ملتا کہ جہاں پر میں ہوں اور میرا پالن ہار، اور کچھ نہ کچھ اس سے بات ہو۔ عبادت اپنی جگہ، بلکل ٹھیک ہے لیکن اللہ خود فرماتا ہے کہ جب تم نماز ادا کر چکو پھر میرا ذکر کرو، لیٹے ہوئے، بیٹھے ہوئے یا پہلو کے بل۔
لیکن آدمی ایسا مجبور ہے کہ وہ اس ذکر سے محروم رہ جاتا ہے۔ کبھی کبھی یہ سوچیں کہ اس وقت میرا اللہ کہاں ہے؟ کیسے ہے؟ شہ رگ کے پاس تو ہے مگر میں کیوں خالی خالی محسوس کرتا ہوں؟
تو پھر آپکو ایک حرکت، ایک وائبریشن محسوس ہوتی ہے۔
یہ بڑے مزے کی اور دلچسپ باتیں ہیں لیکن ہم اتنے مصروف ہو گئے ہیں کہ اس طرف جا ہی نہیں سکتے۔

اشفاق احمد

Saturday 16 February 2013

ہم ایسے مَرگ طلب بھی نہ تھے محبت میں


ہم ایسے مَرگ طلب بھی نہ تھے محبت میں
کہ جلتی آگ کے دریا میں بے خطر جاتے
(یقین جان‘ مری جاں کہ ہم ٹھہر جاتے)
تمہاری آنکھ کے آنسو تھے‘ سیلِ آب نہ تھا
چھلک بھی جاتے اگر‘ رزقِ خاک ہو جاتے
(مثال قطرۂ شبنم ‘ چمکتے‘ کھو جاتے)
رہا وہ حرفِ وفا جس کی سبز کونپل پر
تمہارے بوسئہ لب سے گلاب جاگے ہیں
(سو وہ گلاب تو کونپل سے کٹ بھی سکتے ہیں)
رہے وہ خواب جو آنکھوں کے آبگینوں میں
دھنک کے رنگ لیے ڈولتے سے رہتے ہیں
(سو ایسے خواب تو آکر پلٹ بھی سکتے ہیں)
سو بات حرفِ وفا کی ہے اور نہ خوابوں کی
نہ ڈولتے ہوئے رنگوں سے پُر گلابوں کی
سمے کے چڑھتے اترتے ہوئے سمندر میں
سب ایک پَل کی حقیقت 
سب ایک پَل کا سراب
دلوں میں ترکِ تمنا کا حوصلہ ہو اگر
تو کیسا حرفِ وفا
اور کہاں کے خواب و گلاب
یہ کیسے دشت ِ ندامت میں گھر گئے اے جاں
کہ اِک تو ترکِ تمنا کا حوصلہ بھی نہیں
اور اس پہ یہ بھی قیامت 
اگر ..... بفرض محال
تمہاری راہ سے پھرنے کا حوصلہ بھی ملے
پلٹ کے جائیں کہاں‘ گھر کا راستہ بھی ملے

Friday 1 February 2013

Har shak e Sar bureda naqeeb e Bhar the !


Har shak e Sar bureda naqeeb e Bhar the !
Fasl e khazaan bhe ab k bari Ba-Wqar the !!

Har Sang e meel per thin saleebain garri hovi 
Shayad wo rah guzar tere raha-Guzaar the !! 

Me Tere ahatoo pe tawaja na kar saka !!
Mere hayat , Waqf e Gham e intazar the !!

aakhir sakoon mila usay Dasht e Nigah me!
Wo arzoo jo dil me ghareeb-ul-diyaar the!!

Mujhko tere khushboo k sath sath
mere sada bhe dosh e hawa pe sawar the

kuch me bhe aansoo ki numaish na kar saka
kuch apki nazar bhe tagful shayar the !!!

Mudat k bad mujhko mili itfaaaq se
wo ik ghari k tere tabiet pe baar the !!!

Ye Hadsa hai me tere mehfil me chup raha
Hala,kay wo fiza bhe bari sazgar the !!

wo jin k qehqhoo se lazarti the Zindagi
Kehty hain unki aankh bari sogwar the

Mohsin bana tha me bhe musawar kabhi, magar
Theri se ic lakeer mera shahkar the !!!!!!!

Mohsin naqvi

Friday 4 January 2013

Yaad

Judaai k Mosam mein, Utarti Shaam se Pehle,

Meri Yak-Basta Aankhon mein, Khaamoshi Raqs karti hai,

To Usski Yaad ki Payal, Yun Meray Kaan mein Aa kar,Mussalsal Chanchhanati hai,

To Phir Yak-Dam Khaamoshi ka, "Tassalsul" Toot jata hai,

Phir aisey mein koi "Koyal", Baray hi Qarb se Kookay,

To yun Mehsoos hota hai, k jaise Be-Sabab koi,

Kissi ko "Yaad" karta hai. . . .

December thehr jaey too..

DECEMBER aa k Dareechon me jb thehr jaayE

To dewaaron pE Calendar bdlney sE Yadein nahi jateen..!!

Tuesday 1 January 2013

aey naye saal bataa..!

Ay Naey Saal Bata Tujh Main Naya'pan Kia Hy?

Har Taraf Logon Ne ik Shor Macha Rakha Hy.

Roshni Din Ki Wohi
Taroon Bhari Raat Wohi,

Hum Ko to Ab Bhi Nazar Aati Hy Har Baat Wohi.

Aasma'n Badla, Na Badli Hy Yeh Afsurda Zameen,

Eik Hindsay Ka Badalna Koi Jiddat To Nahin.

Besabab Dety Hain Kiun Log Mubarak Baadain,

Kia sabhi Bhool Gaey Waqt Ki Karvi Yaadain.

Tu Naya Hy To Dikha Subho Nayi Shaam Nayi,

Warna In Aankhoun Ne Daikhay Hain Naey Saal Kai..!

Ghazal..

Apne Maazi Ke Tasawwur Se Hiraan See Hoon Main
Apne Guzre Huye Aiyaam Se Nafrat Hai Mujhe…

Apni Bekaar Tamannaon Pe Sharminda Hoon
Apni Be-sood Umeedon Pe Nidamat Hai Mujhe…

Mere Maazi Ko Andhere Mein Daba Rahne Do
Mera Maazi Meri Zillat Ke Siwa Kuch bhi Nahin…

Meri Ummeedon Ka Haasil, Meri Kaawish Ka Sila
Ek Be Naam Aziyat Ke Siwa Kuchh Bhi Nahin…

Kitni Be-kaar Umeedon Ka Sahara Le kar
Main Ne Aiwaan Sajaaye thay Kisi Ki Khatir…

Kitni Be-Rabt Tamannaon Ke Mubham Khake
Apne Khwaabon Mein Basaaye thay Kisi Ki Khatir…

Mujh Se Ab Meri Mohabbat Ke Fasane Na Kaho
Mujhko Kahne do K Main ne Unhen Chaha Hi Nahin…

Aur Woh Mast Nigahen Jo Mujhe Bhool Gayeen
Main Ne Un Mast Nigahon Ko Saraaha Hi Nahin…

Mujhko Kahne Do K Main Aaj Bhi Ji Saktee Hoon
Ishq Nakaam Sahi , Zindagi Nakaam Nahin…

Unko Apnane Ki Khwahish, Unhen Paane Ki Talab
Shauq Bekar Sahi, Saiye Ghum Anjaam Nahin…

Wohi Kushboo, Wohi Nazrein, Wohi Aariz, Wohi Jism
Main jo Chahoon To Mujhe Aur Bhi Mil Saktein Hain…

Woh Kanwal Jinko Kabhi Un Ke Liye Khilna Tha
Unki Nazron Se Bahut Door Bhi Khil Saktein Hain…….!!!!!