Friday 20 June 2014

Faseel pe rakha charaagh

Faseel-e-hijr pe  rakha chiragh lagta hon.

Sufaid posh hon aur dagh dagh lagta hon.

Meri Hayat to sukhay shajar ki manind hai.

Tu sair-e-Gul karey to bagh bagh lagta hon.

Merey libas pe pewand hein muflesi k.

Ujaar ghar ka main chashm-o-charagh lagta hon.

Sahefay jab se mein parhney laga mohabbat k.

Mein shehar bhar ko bohat
Bad-damaagh lagta hon.

Mein 1 dobta tara sahi muqadar ka.

Yehi khushi hai sahar ka suragh lagta hon.

Hain merey baray mein logon ki mukhtalif raaye.

Kisi ko jugno,
Kisi ko charagh lagta hon..!

Safar mein hai jo azal se yeh woh balaa hi na ho

Safar mein hai jo azal se yeh woh balaa hi na ho
KiwaaR khol ke dekho, kahiN hawaa hi na ho
Nigaah e aayiina maloom, aks e na-maaloom
Dikhayi deta hai jo asl mein chhupaa hi na ho
ZamiN ke gird bhi paani, zamiN ki tah mein bhi
Jo shahr jam ke khaRa hai woh tairtaa hi na ho
Na jaa K is se paray, dasht-e-marg ho shaayad
PalaTna chahe wahaaN se to raastaa hi na ho
Main is khyaal se jaata nahi watan ki taraf
K mujh ko dekh ke us but ka ji buraa hi na ho
Kati hai jis ke khyaaloN mein apni umr ‘Munir’
Mazaa to jab hai K us shokh ko pataa hi na ho
By
Munir Niazi

Khubsoorat zindagi ko hum ne kesy guzara






Dil Jal Raha Tha Gham Se

Dil Jal Raha Tha Gham Se Magar Nagmagar Raha
Jab Tak Raha Main, Saath Mere Yeh Hunar Raha

Subah-E-Safar Ki Raat Thi, Taare The, Aur Hawa
Saaye Sa Ek, Der Talak, Baam Par Raha

Meri Sada Hawa Mein Bohat Door Tak Gayi
Par Main Bula Raha Tha Jise, Bekhabar Raha

Guzari Hai Kya Maze Se Khayaalon Mein Zindagi
Doori Ka Yeh Tilism Bada Kaargar Raha

Khauf Aasmaan Ke Saath Tha Sar Par Jhuka Hua
Koi Hai Bhi Ya Nahin Hai,Yehi Dil Mein Dar Raha

Is Aakhiri Nazar Mein Ajab Dard Tha ‘Munir’
Jaanay Ka Uske Ranj Mujhe Umr Bhar Raha

By
Munir Niazi

Jo Muje Bhula De Gay Mai Unhain Bhula Don Ga



Jo Muje Bhula De Gay Mai Unhain Bhula Don GaSab Ghuror Un Ka Mai Khak Mai Mila Don GaDekhta Ho Sab Shaklain, Sun Raha Ho Sab BatainSab Hisab In Ka Mai Ik Din Chuka Don GaRoshni Dikha Don Ga In Andhair Ngron MaiIk Hawa Zaion Ki Char So Chla Doon Ga

By
Munir Niazi

Gham Ki Barish

Gham Ki Barish Ne Tere Naqsh Ko Dhoya Nahi
Tu Ne Muje Kho Dya Mai Ne Tuj Ko Khoya Nahi
Neend Ka Halka Gulabi Sa Khumar Aankhon Mai Tha
Yun Lga Wo Shab Ko Dair Tak Soya Nahi
Har Tarf Dewar-o Dar Aur Un Mai Aankhon Ka Hjom
Keh Skay Jo Dil Ki Halat Wo Lab Goya Nahi
Juram Adam Ne Kya Aur Nasal Adam Ko Saza
Kat-ta Hon Zindagi Bhar, Mai Ne Jo Boya Nahi
Janta Hon Ik Aese Shakhs Ko Mai Bi Munir
Gham Se Pathar Ho Gya Lekin Kabi Roya Nhi


By
Munir Niazi