Monday 30 September 2013

Hum hi mein thi.. By hafeez jalandari

Hum hi mein thi na koi baat yaad na tumko aa sake
tumne hamein bhulaa diya hum na tumhein bhulaa sake!

tum hii na sun sake agar, qissa-e-ghum sunegaa kaun
kis kii zubaaN khulegii phir, ham na agar sunaa sake

hosh meN aa chuke the ham, josh meN aa chuke the tum
bazm kaa rang dekh kar sar na magar uThaa sake

raunaq-e-bazm ban gaye, lab pe hikaayateN rahiiN
dil meN shikaayateN rahiiN, lab na magar hilaa sake

ijz se aur baDh gaii barhamii-e-mizaaj-e-dost
ab voh kare ilaaj-e-dost jis kii samajh meN aa sake

shouq-e-visaal hai yahaaN, lab pe savaal hai yahaaN
kiskii majaal hai yahaaN ham se nazar milaa sake

ahle zubaaN to haiN bohat, koii nahiiN hai ahl-e-dil
kaun terii taraH Hafeez dard ke geet gaa sake

Tmhari rah se bhatken tou manzil par pohanch jaen

Mohabbaten jab shumaar krna

Sunday 29 September 2013

Dukh Fasanaa nahii!

Dukh fasana nahi k tujh se kahain
Dil bhi mana nahi k tujh se kahain,
Ek tu harf aashna tha magar
Ab zamana nahi k tujh se kahain,
Ae khuda dard e dil hai bakhshish e dost
Aab o daanaa nahi k tujh se kahain
Be tarah haal e dil hai aur tujh se
Dostana nahi k tujh se kahain
Qasidaa hum faqeer logon ka
Ek thikana nahi k tujh se kahain
Ab to barson se us gali men FaRAZ
Aana jaana nahi k tujh se kahain

"Mumkin hai chashm e numm" by Ahson Talish

Mumkin hai tum b koi ishara na kar sako
Mumkin hai zeher de kar ada kar do zindagi
Mumkin hai ye karam b dobara na kar sako
Mumkin hai mera hukum b tum ko qabool ho
Mumkin hai iltija b gawara na kar sako
Mumkin hai do qadam pe badal jao rasta
Mumkin hai umr bhar b kinara na kar sako
Mumkin hai meray bagair bhee bita lo zindagi
Mumkin hai apnay saath bhee guzara na kar sako

Mumkin hai chashm-e-Numm teri, tera gharoor ho
Mumkin hai k ye aag, pani se dur ho

Mumkin hai saraiyat karay ye zeher ragon main
Mumkin hai zeher ka asar dur dur ho
Mumkin hai k mumkin na ho yun mera palatna
Mumkin hai iztairab main bhee kuch suroor ho
Mumkin hai aa b jao tum meray khayal main
Mumkin hai dur dur ho..  

By Ahson Talish