Wednesday 7 March 2012

Khwab-e-safar per saath chalain gay../



Ik shab aankh kinaray

Ik doojay ka haath pakar ker … 
Jhootay sachay ehed karain gay, 
Main kuch un dekhay sapnon ki ..
Ungli thaam kay lay aaon gee,
Tum kuch ru-pehli taberain ..
Zaad-e-safar kay taur per lana … …
Ho sakta hai khwab-e-safar main
Barish bhi ho, aandhi bhi ho
Ho sakta hai toofanon nay,
Shart safar say baandhi bhi ho …
Ho sakta hai kuch jugnoo, kuch taaray
Apni raah main aain
Ho sakta hai ghor andhairay main hi
Hum donon kho jain
Is jungle main nadi kinaray
Thoray sapnay bo aain gay
Aur behti nadi main donon
Gham ki gard bhi dho aain gay
Ik bargad kay pair kay neechay
Teray shanay per sir rakh ker
Main apnay sab dukh ro loon gee
Tum apni jalti aankhon per
Meri barf hatheli rakhna .. !
Tum yadon kay roshan jugnoo
Apni mutthi main bhar lena
Main bhi aanchal kay pehloo main
Ujli yadain rakh laoon gee
Is dauraan hi khwab ki devi
Hum donon say haath chura ker
Such ki bheer main kho jaye gee..!
Chahay such kitna karwa ho
Dukh ko maat to ho jaye gee..!
Phir tum neend nagar ko jana
Main khwabon main reh jaoon gee
Ik shab aankh kinaray
Neend say pehlay aao
Khwab-e-safar per saath chalain gay!

ek khwaab aur..!!

khwaab ab Husn-e-tasavvur ke ufaq se haiN pare
dil ke ek jazbaa-e-ma’suum ne dekhe the jo khawaab
aur ta’beeroN ke tapte hue sehraaoN meN

tashnagii aabla-paa, sh’ola-bakaf mauj-e-saraab
ye tau mumkin nahiin bachpan ka ko’ii din mil jaaye
yaa palat aaye ko’ii sa’aat-e-naayaab-e-shabaab
phuuT nikle kisii afsurdah tabassum se kiran
yaa damak uTThe kisii dast-e-buriidah meN gulaab
aah ! patthar kii lakiireN haiN ke yaadoN ke nuquush
kaun likh saktaa hai phir umr-e-guzishtaa kii kitaab
beete lamHaat ke soye hue tuufaanoN meN

tairte phirte haiN phuuTii huii aaNkhoN ke Habaab
taabish rang-e-shafaq, aatish ruu-e-Khurshiid
mal ke cHehre pe saHar aayii hai KhuuN aHbaab
jaane kis moR pe, kis raaH meN kyaa beetii hai
kis se mumkin hai tamannaoN ke zakhmoN ka Hisaab
aastiinoN ko pukaareNge kahaaN tak aaNsuuN
ab tau daaman ko pakaRte haiN lahuu ke gardaab
dekhtii phirtii hai ek ek ka munh khaamoshii
jaane kyaa baat hai sharmindah hai andaaz-e-Khitaab
dar-ba-dar thokareN khaate huve phirte haiN savaal
aur mujrim ki tarah unse gurezaaN haiN javaab
sarkashii, phir maiN tujhe aaj sadaa detaa huN
maiN teraa shaa’iir-e-aawaaraa-o-be-baak-o-Kharaab
pheNk phir jazbaa-e-betaab ki aalam pe kamand
ek khwaab aur ai himmat-e-dushwaar pasand

lamhoN ke chiraaGh....


vo niiNd kii tarah narm sabzaa

KhvaaboN kii tarah ramiidaa shabnam
phuuloN kii tarah shaGhuftaa chehre
Khushbuu kii tarah latiif baateN
kirnoN kii tarah javaaN tabassum
shoale kii tarah dahaktii Khvaahish
taaroN kii tarah chamaktii aaGhosh
saaGhar kii tarah chalakte siine
sab qaafilaa-e-’adam ke raahii
vaadii-e-’adam meN chal rahe haiN
taariikiyoN ke khile haiN parcham
lamhoN ke chiraaGh jal rahe haiN
har laamhaa hasiin aur javaaN hai
har lamhaa faroGh-e-jism-o-jaaN hai
har lamhaa aziim-o-jaavidaaN hai

Ham Ne Soch Rakhaa Hai

Ham Ne Soch Rakhaa Hai
Chahe Dil Ki Har Khuwahish
Zindagi Ki Aankhon Se Ashk Ban K Beh Jaie
Chahe Ab Makeenon Per
Ghar Ki Saari Deewarain
Chat Sameet Gir Jaien
Aur Be-Muqadar Hum
Is Badan K Malbe Main Khud Hi Kion Na Dab Jaaien

Tum Se Kuch Nahin Kehna !

Kaisi Neend Thi Apni
Kaise Khwab The Apne
Aur Ab Gulabon Per
Neend Wali Aankhon Per
Narm-Khu See Khuwabon Per
Kion Azab Tote Hain

Tum Se Kuch Nahin Kehna !

Ghir Gaie Haain Baton Main
Be-Libas Baton Main
Is Taarah Ki Raton Main
Kab Chiragh Jalte Hain, Kab Azab Talte Hain
Ab To In Azabon Se Buch K Bhi Nikalne Ka Raasta Nahin Jaanan
Jis Tarah Tumhain Such K Lazawal Lamhon Se Wasta Nahin Jaanan

Ham Ne Soch Rakha Hai
Tum Se Kuch Nahin Kehna..!!

jab bhii chuum letaa huN un hasiiN aaNkhoN ko...!!!

Jab bhii chuum letaa huN un hasiiN aaNkhoN ko
sau chiraaGh andhere meN jhilmilaane lagte haiN
Khushk Khushk hoNTon meN jaise dil kheNch aataa hai
dil meN kitne aa’iine TharTharaane lagte haiN

phuul kyaa, shiGhuufe kyaa, chaaNd kyaa, sitaare kyaa
sab raqiib qadmoN par sar jhukaane lagte haiN
zehn jaag uThtaa hai, ruuh jaag uThtii hai
naqsh aadmiyaat ke jagmagaane lagte haiN
lau nikalne lagtii hai mandiroN ke siine se
devtaa fazaaoN meN muskuraane lagte haiN

raqs karne lagtii haiN muurateN Ajanta kii
muddatoN ke lab-bastaa ghaar gaane lagte haiN
phuul khilne lagte haiN ujRe ujRe gulshan meN
tishnaa-tishnaa ghatii par abr chhaane lagte haiN
lamha bhar ko ye duniyaa zulm chhoR detii hai
lamhaa bhar ko sab patthar muskuraane lagte haiN

jab bhii chuum letaa huN un hasiiN aaNkhoN ko...!!!

vo koii aur na thaa chand Khushk patte the...


vo koii aur na thaa chand Khushk patte the 
shajar se TuuT ke jo fasl-e-gul pe roye the


abhii abhii tumhen sochaa to kuchh na yaad aayaa
abhii abhii to ham ek-duusare se bichhre the

tumhaare baad chaman par jab ik nazar Daalii
kalii kalii mey Khizaan ke chiraaG jalte the

tamaam umr vafaa ke gunaah_gaar rahe
ye aur baat ki ham aadamii to ache the

shab-e-Khaamosh ko tanhaaii ne zabaaN de dii
pahaar guuNjte the dasht san_sanaate the

vo ek baar mare jin ko thaa hayaat se pyaar
jo zindagii se gurezaaN the roz marate the

naye Khayaal ab aate hain Dhal ke zahan mey
hamaare dil mey kabhii khet lah lahaate the

ye iratiqaa kaa chalan hai ki har zamaane mey
puraane log naye aadamii se Darte the

'Nadeem' jo bhii mulaaqaat thii adhuurii thii 
ki ek chehre ke piichhe hazaar chehre the

maruun to mai kisii chehare mey rang bhar jaauN


maruun to mai kisii chehare mey rang bhar jaauN 

'Nadeem' kaash yahii ek kaam kar jaauN 


ye dasht-e-tark-e-muhabbat ye tere qurb kii pyaas 
jo izaan ho to terii yaad se guzar jaauN

meraa vajuud merii ruuh ko pukaarataa hai
terii taraf bhii chaluuN to Thahar Thahar jaauN

tere jamaal kaa partau hai sab hasiinon par
kahaan kahaan tujhe DhuNduun kidhar kidhar jaau

mai zindaa thaa ki teraa intazaar Khatm na ho
jo tuu milaa hai to ab sochataa hun mar jaauN

ye sochataa hun ki mai but parast kyun na huaa
tujhe qariib jo pauuN to Khud se Dar jaauN

kisii chaman mey bas is Khauf se guzar na huaa 
kisii kalii pe na bhuule se paau na dhar jaauN

ye jii mey aatii hai taKhliiq-e-fan ke lamhon mey
ki Khuun ban ke rag-e-sang mey utar jaauN 

KyuuN..??


kuchh aise ghaao bhii hote hain 
jinhen zaKhmii aap nahiin dhote
bin roye huye aaNsuon kii tarah 
siine mey chhupaa ke rakhate hain
aur saarii umr nahiin rote


niindhen bhii muhaiyaa hotii hain

sapane bhii duur nahiin hote
kyun phir bhii jaagte rahate hain
kyun saarii raat nahiin sote



ab kis se kahen ai jaan-e-vafaa
ye ahal-e-vafaa kis aag mey jaltey rahate hain
kyun bujh kar raakh nahiin hotey..!!

Khud apane liye baiTh ke sochenge kisii din...

Khud apane liye baiTh ke sochenge kisii din
yun hai ki tujhe bhuul ke dekhenge kisii din


bhaTake hue phirate hain kaii lafz jo dil mey
duniyaa ne diyaa vaqt to likkhenge kisii din

hil jaayenge ik baar to arshon ke dar-o-baam
ye Khaak_nashiin log jo bolenge kisii din

aapas kii kisii baat kaa miltaa hii nahiin vaqt
har baat ye kahate hain ke baiThenge kisii din

ai jaan terii yaad ke be-naam parinde
shaaKhon pe mere dard kii utarenge kisii din

jaatii hai kisii jhiil kii gaharaaii kahaan tak
aankhon mey terii Duub ke dekhenge kisii din

Khushbuu se bharii shaam mey jugnuu k qalam se
ik nazm tere vaaste likkhenge kisii din 

soyenge terii aaNkh kii Khlvat mey kisii raat 
saaye men terii zulf ke jaagenge kisii din

Khushbuu kii tarah ,asl-e-sabaa Khaak numaa se
galiyon se tere shahar kii guzarenge kisii din

'Amjad' hai yahii ab ke kafan bandh ke sar se
us shahar-e-sitamgar mey jaayenge kisii din

Tuesday 6 March 2012

aaKhirii baat..


Tuluu-e-shams-e-mufaraqat hai
puranii kirney naye makaano k aaNgano mey laraz rahii hain
fasiil-e-shahar-e-vafa k rozan chamakte zarron se bhr gaii hain
gaye dino ki aziz baaten nigaar subhen, gulaab raaten,
bisaat-e-dil bhii ajiib shay hai hazaar jiiten, hazaar maaten..
judaaiyon kii havaayen lamhon kii Khush maTTii uraa rahii hain..

gaii ruton kaa malaal kab tak?
chalo k shaaKhen to TuuTtii hain!
chalo k qabron pe Khuun rone se 
apnii aaNkhen hii phuuTtii hain..
ye mor vo hai jahan se mere tumhaare raste badal gaye hain
puraanii raahon ko lauTnaa bhii hamaarii taqdiir mey nhe
k raaste bhii hamaare qadmon k saath aagy nikal gaye hain..

tuluu-e-shams-e-mufaraqat hai
tum apnii aaNkhon mey jhilmilaate huye sitaaron ko maut de do!
gaii ruton k tamaam phulon tamaam Khaaron ko maut de do!
naye safar ko hayaat baKhsho
k pichlii raahon pe sabt jitney naquush-e-paa hain
vo baar hongy
havaa uraaye ke tum uRaao..!!

tumhaarii yaad ke jab zaKhm bharne lagte hain ....


tumhaarii yaad ke jab zaKhm bharne lagte hain 
kisii bahaane tumhen yaad karne lagte hain



hadiis-e-yaar k unavaan nikharne lagte hain 
to har hariim mey gesuu sanvarne lagte hain



[hariim - house]



har ajanabii hamen mahram dikhaaii detaa hai 
jo ab bhii terii galii galii se guzarane lagte hain



[maharam=acquaintance]


sabaa se karte hain Gurbat-nasiib zikr-e-vatan 

to chashm-e-subah mey aansuu ubharne lagte hain



[Gurbat-nasiib=those in exile; chashm=eye]



vo jab bhii karte hain is nuqt-o-lab kii baKhiyaa_garii 
fazaa mey aur bhii naGmen bikharne lagte hain



[nutq-o-lab=speech and lips]



dar-e-qafas pe andhere kii muhar lagtii hai 
to "Faiz" dil mey sitaare utarane lagte hain


[dar-e-qafas=door of the prison]

sabhii kuchh hai teraa diyaa huaa sabhii raahaten sabhii kalafaten .....


sabhii kuchh hai teraa diyaa huaa sabhii raahaten sabhii kalafaten 
kabhii sohabaten kabhii furqaten kabhii duuriyaan kabhii qurbaten

ye suKhan jo ham ne raqam kiye ye hain sab varq terii yaad k 
koii lamhaa subah-e-visaal kaa, kaii shaam-e-hijr kii qurbaten

jo tumhaarii maan len naasihaa to rahegaa daaman-e-dil mey kyaa? 
na kisii uduu kii adaavaten na kisii sanam kii muravvaten

chalo aao tum ko dikhaayen ham jo bchaa hai maqtal -e-shahar mey
ye mazaar ahal-e-safaa k hain , ye hain ahal-e-sidq kii turbaten

merii jaan aaj kaa Gam na kar, ke naa jaane kaatib-e-vaqt ne 
kisii apane kal mey bhii bhuul kar kahiin likh rakhii hon masarraten

himmat karo jiine ko abhii umr parii hai

is vaqt to yun lagata hai , 

ab kuchh bhii nahiin hai 
na mahataab 

na suuraj 
na andheraa 
na saveraa 

aankhon k dariiche mey kisii husn kii jhalkan 
aur dil kii panaahon men kisii dard kaa Deraa 
mumkin hai koii vaham ho 

mumkin hai sunaa ho !
galiyon mey kisii chaap kaa ek aaKhirii pheraa 
shaaKhon mey Khayaalon k ghane pairr kii, 
shaayad ! ab aake karegaa na koii Khvaab baseraa 
ik bair 
na ik mahar 
na ik rabt 
na rishtaa 

teraa koii apanaa na paraayaa koii meraa 
maanaa ki ye sun-saan gharii saKht barii hai 
lekin mere dil ye to faqat ek gharii ha
himmat karo jiine ko abhii umr parii hai

Monday 5 March 2012

Chal insha apne gaon may.......


Teri nigaah ke jadu bikharte jate hain.........


Teri nigaah ke jadu bikharte jate hain
Jo zakhm dil ko miley woh bharte jate hain

Tere bagher woh din bhi guzar gaye akhir
Tere bagher yeh din bhi guzarte jate hain

Liye chalo mujhe darya-e-shauk ki maujo
Ke hamsafar tou mere paar utarte jate hain

Tamaam umar jahan hanste khelte guzaari
Ab us gali mein bhi hum darte darte jate hain

Mein khawhishon ke gharonde banaye jata hoon
Woh mehntain meri barbaad kiye jate hain

araish-e-khayal bhi ho dilkusha bhi ho


araish-e-khayal bhi ho dilkusha bhi ho
 wo dard ab kahan jise ji chahta bhi ho

 ye kya k roz ek sa gham ek si ummid
is ranj-e-bekhumar ki ab inteha bhi ho

ye kya k ek taur se guzre tamam umr
ji chahta hai ab koi tere siwa bhi ho

 tute kabhi to khwab-e-shab-o-roz ka tilism
itne hujum main koi chehra naya bhi ho

diwangi-e-shauq ko ye dhun hai in dinon
ghar bhi ho aur be-dar-o-diwar sa bhi ho

 uz dil koi makan nahi dahar main jahan
rahzan ka khauf bhi na rahe dar khula bhi ho

har zarra ek mahmil-e-ibrat hai dasht ka
bhala-sa ho to hamain dekhta bhi ho

 har shay pukarti hai pas-e-parda-e-sukoot
lekin kise sunaun koi hamnawa bhi ho

fursat main sun shaguftagi-e-guncha ki sada
ye wo sukhan nahi jo kisi ne kaha bhi ho

Dil Yun Dharka k...


Sunday 4 March 2012

gehraa sannaaTaa hai


gehraa sannaaTaa hai
kuch makaanoN se Khamosh uThtaa hu’aa
gaaRhaa kaalaa dhuuaaN
mail dil meN liye
har taraf duur tak phailtaa jaataa hai
gehraa sannaaTaa hai
laash kii tarah bejaan hai raastaa
ek TuuTaa hu’aa Thelaa
ulTaa paRaa

Khataa maine ko’ii bhaarii nahiiN kii


Khataa maine ko’ii bhaarii nahiiN kii
                                       amiir-e-shah’r se yaarii nahiiN kii

kisii mansab kisii ohde kii khaatir
                                         ko’ii tadbiir baazaarii nahiiN kii


kab uskaa visaal chaahiye thaa

kab uskaa visaal chaahiye thaa
bas aik Khayaal chaahiye thaa




kab dil ko javaab se Gharz thi

hoNToN ko savaal chaahiye thaa

maskan-e-maah-o-saal chhoR gayaa


maskan-e-maah-o-saal chhoR gayaa
dil ko us kaa Khayaal chhoR gayaa

taazah-dam jism-o-jaaN the furqat meN
vasl us kaa nidhaal chhoR gayaa

ahd-e-maazii jo thaa ajab purhaal
aik viiraan haal chhoR gayaa

zaala-baarii ke marhaloN kaa safar
qaafile, paayemaal chhoR gayaa

dil ko ab ye bhii yaad ho ke na ho
kaun thaa , kyaa malaal chhoR gayaa

maiN bhii ab Khud se huuN  javaab-talab
vo mujhe be-savaal chhoR gayaa

Jaun Elia

ab bhalaa chhoR ke ghar kyaa karte


ab bhalaa chhoR ke ghar kyaa karte
shaam ke vaqt safar kyaa karte

terii masruufiyateN jaante the
apne aane kii Khabar kyaa karte

jab sitaare hii nahiiN mil paaye
le ke ham shams-o-qamar kyaa karte

vo musaafir hii khulii dhuup kaa thaa
saaye phailaa ke shajar kyaa karte

Khaak hii avval-o-aaKhir thahrii
kar (?) ke zarre ko gauhar kyaa karte

raaye pehle se hii banaa lii tuune
dil meN ab ham tere ghar kyaa karte

ishq ne saare saliiqe bakhshe
husn se kasb-e-hunar kyaa karte