Tuesday 13 November 2012


Such to yeh hai..!!


Dil Ki Lerzish Na Khata Hai Koi....

Dil Ki Lerzish Na Khata Hai Koi
Bus Yion He Roth Gaya Hai Koi
 
 Mai Ne Ruk Ruk Kay Tujhay Yaad Kia
Dil Mein Jub Dard Otha Hai Koi
 
 Yaa Hawa Khaak Oraahti Ho Gi
Yaa Mujhay Doondh Raha Hai Koi
 
 Mout Atti Hai Na Tu Atta Hai
Yeh Bhi Jeenay Ki Sazza Hai Koi
 
 Ab Wo Milta Hai Tu Yion Lagta Hai
Silsila Tout Gaya Hai Koi
 
 Surkh Hai Sheher KI Shub Ka Chehra
Phir Kaheen Qatal Howa Hai Koi
 
 Aai Bicher Kar Na Palatnay Walay
Teray Rustay Mai Khara Hai Koi
 
 Shal Howay Hath Tu Socha Hum Ne
Log Kehtay Thay Khuda Hai Koi
 
 Sonay Lagta Hoon Tu Dil Kehta Hai
Abb Usay Bhool Chuka Hai Koi
 
 Yeh Meray Phool, Kitabain Meri
Raah Mai Chorr Gaya Hai Koi
 
 EK Awara' Prinda....MOSHIN
Wusat-e-Arz-o-Samma Hai Koi

Mohsin Naqvi 

Aiteraaf..!!


Kab tuk tu oonchi awaaz main bole ga?

Kab tuk tu oonchi awaaz main bole ga?
Teri khatir kaun dareecha khole ga?
 
Apne aansoo apni aankh main rehne de!
Rait main kab tuk heere moti role ga?
 
Aao sheher ki roshaniyan hi dekh aayen!
Kaun humari khaali jaib tatole ga?
 
Laakh mere honton per chub ki mohren hon
Mere andar ka fankar to bole ga!!
 
Dekh woh apni meethi meethi baaton se
Apna sara zeher tujhi main ghole ga
 
Ay soudagar chahat ki jageeron ke!
Kis mezan main tu is jins ko tole ga
 
Mohsin uski narm tabiyat kehti hai!
Pal do pal woh mere saath bhi ho le ga

Mohsin Naqvi

Marhly Shoq k Dushwar hova karty hain....

Marhly Shoq k Dushwar hova karty hain 
Saye bhe Rah ki Dewaar hova karty hain 

Wo jo Sach Bolty Rehny ki Qasam khatay hain 
Wo Aadalat me GunheGar Hova Karty hain 

Sirf Hatho ko Na Dekho kabhi Aankhain bhe parho
Kuch Sawali Bary Khudaar hova karty hain

Wo Jo Pathar Younhi Rasty Me Pary Rehty hain
Un k Seenay me bhe Shahkaar hova karty hain

Subha ki Pehli Kiran Jin ko Rula Deti hai
Wo Sitaroon k Azaadar hova karty hain

Jin ki aankho me Sada Pyaas k Sehra Chamkain
Dar haqeeqat Wohi Fankar hova karty hain

Sharm Aati hai k Dushman kisay Samjhain Mohsin
Dushmani k bhe to Mayyar hova karty hain

Monday 12 November 2012

Wisal Mosm Guzr Gya To khyal Ban kr Mila kren Gye

Wisal Mosm Guzr Gya To khyal Ban kr Mila kren Gye
Bichr Gaye To Hum Ik Mah_o Saal Ban kr Mila kren Gye.

Kitab_e_Ahd-o_Wafa k Ik Ik Warq Pe Apni khabr Mily Gi.
Hum Ahl_e_ulfat Mohbton ki Misal Ban kr Mila kren Gye.

Hazar Lamhon ki Ho Musafat Dilon ki Dhrkan Sunai Dy Gi.
Guzrty Lamhon ki Hr Sada Mein Dhamaal Ban kr Mila kren Gye.


Abi To Lamhon ki Durion Pr Bhatak Rhy Hein Magr kbi Hum.
Falak ki Gardish Mein Aa Gye To Hilal Ban kr Mila kren Gye.

Din raat k aane jane me,

Din raat k aane jane me,
Dunia k ajaib khane me,
Kabi sheshay dhundle hote han,
Kabi manzar saaf nahi hote,
Kabi suraj baat nahi karta,
Kabi taare aankhbadlte han,
Kabi manzil peche rahti ha,
Kabi raste aage chalte han,
Kabi aaseen tod nahi chahrten,
Kabi khadshe pore hote han,

Kabi aankhen dekh nahi sakten,
Kabi khawab adhore hote han.
Ye sab to sahih ha lekin,
Is aashob k manzar name me,
Din raat k aane jane me,
Kuch saaya karti aankhon k,
Paimaan to dikhai dete han,
Hathon se agarche door sahi,
Imkan to dikhai dete han.
Haan! Rait ke is darya k udhar,
Ik paidoon wali basti k,
Imkaan to dikhai dete han.
Manzil se kosoon door sahi,
Pur dard sahi,ranjoor sahi,
Zakhmoon se musafir choor sahi,
Par kis se kahen aye jan e wafa?
Kuch aise Ghaao b hote han,
Jinhen Zakhmi aap nahi dhoote.
Bin roye hoye aansoo ki tarah,
Seenay me chupa kar rakhte han.
Aur sari umar nahi rotay.
Neenden b muhaya hoti han,
Sapne bdoor nahi hote.
Kio phir b jagte rahte han?
Kio sari raat nahi sote?
Ab kis se kahen aye Jan e Wafa?
Ye Ahle Wafa!
Kis aag me jalte rahte han?
KIO BUJHKAR RAAKH NAHI HOTE?

Suno.....

Suno.....
Humdam Mere Mujhko 
Bohat Kuch Tumse Kehna Hai 

Yeh Raatein 
Mujh Pe Bhaari Hain 

Yeh Shaamein 
Gham Se Taari Hain 

Bohat Kuch Yaad Aata HaiBohat Mujh Ko Rulata Hai

Suno,,,,,,,,,,,,,,,,
Ik Kaaam Kr Do Na

Yeh Apni Baatein Sari

Yeh Apni Yaadein Sari

Tum Kyun Le Nahin Jate ?

Jab Aana He Nahin Tum Ne

Tou Phir Kyun Yaad Aate Ho ?

Meri Aankhon Mein Bn Kr Ashk

Phir Kyun Ruk Se Jate Ho ?

Suno Jaanam,,,,,,,,,

Main Apne Zabt KaDaman
Kahiin Chor Na Baithon

Lout Aao Mere Humdam

Ke Main Khud Ko Tor Na Baithoon.

Dasht e junoon

Hum
Dasht-E-Junuun
K Sodae
Hum 
Gard-E-Safar 

Hum 
Naqsh-E-Kadam
Hum
Soz-E Talab
Hum
Tarz -E-Fugaa'n
Hum
Ranj-E-Chaman
Hum
Fasl-E-Khizaa'n

Hum
Hairat-O-Hasrat
Yaas-O-Alam
Hum
Dasht-E-Junuun
K Sodae
Ye
Dasht-E-Junuun
Ye Pagal Pan
Ye Pecha Kerti
Ruswae

Ye
Ranj-O-Alam
Ye
Huzn-O-Malaal
Ye
Nala-E-Shab
Ye
Soz-E-Kamaal
Dil Mein hai ik
Benaam Chuban

Aur
Hadd-E-Nazar
Tak Tanhai
Hum
Dasht-E-Junuun
K Sodae
Ab Jaan Humari Chotay Bhi
Ya
Dasht-E-Junuun
Hi Thak Jaye

Jo
Roh-O-Badan
Ka Rishta Tha
Kaie Saal Hoye
Wo Toot Gaya

Ab Dil Ka Dhrakna
Ruk Jaye
Ab Saans Ki Dori
Tootay Bhi

Hum
Dasht-E-Junuun
K Sodae
Ab jan hamari
Choty bhi. . .

Qissa e dard

Raah e dushwaar ko tabdeel nahi kar saktay.
Ay muhabbat teri tazleel nahi kar saktay.

Husn e tarteeb bhala ishq mein kab hota hai.
Az sar e no isay tashkeel nahi kar saktay.

Aap kehtay hain bicharr jaao hamesha k liye.
Aap k hukam ki ta'meel nahi kar saktay.

Is adhoori si muhabat ko bhulana behtar.
Jis ki hum mar k bhi takmeel nahi kar saktay.

Qissa e dard chupa rakha hai dil mein apnay.
Ham bayaan sub say ye tafseel nahi kar saktay

Thursday 5 July 2012

..::..Kya Khhuda Bhi Uska Tha..::.. by Amjad Islam Amjad


.::.Ahmad Nadeem Qasmi..::..



.::. Tmhara khat mila jana..:::.


.::.Kuch Ashar.::..


Behter hai ise ghar ke kisi Taaq main rukh do
Tota huwa dil le ke kahan janne lagay ho?

Ashob-e-Nazar se bhi pharkti hai kabhi ankh
Tum yeah na samjhna use yaad anay lagay ho

________

Jo udass hain tere hijer main, jinhien bhoj lagti hai zindagi
ser-e-bazm unko dekh ker tera moun chupanay ka shukria

Jo zamanay bhar ka asool tha wo asool tu ne nibha diya
Yahi rasm tehray gi moutber mujhe bhool jannay ka shukria

________

Wo ik shakhsh ke jis se muhabbtien thien buhat
Hafa hoye to usi se shikiaytien thien buhat

Buhat Aziz thay apnay asool us ko bhi
Humien bhi apni Aana ki zarooratien thien buhat

_________


Hai yeah bhi such ke tere Samnay mujhe barsoon
Koi Rafeeq, Koi kaam bhi na yaad aya

Yeah jhoot bhi nahi hai tujhe jo kal dekha
To kitni dare tera naam bhi na yaad aya

________

Wo Aye bhi to ko0nsa Ehsan ker gay
bethay bethay hum ko parishaan ker gay

______

Apnay khilaf faisla khud hi likha hai aap ne
hath bhi mal rahay hain aap, aap buhat ajeeb hain

Daira war hi to hain ishq ke silsalay tamam
Rah badal rahay hain aap, aap buhat ajeeb hain


________

Meri zindagi ke raaz main ik raaz tum bhi ho
meri bandagi ki Aas main ik Aas tum bhi ho

Tum kia ho mere, kuch ho yan kuch bhi nahi magar
Meri zindagi ke kash main ik kash tum bhi ho

Raaz..!!

Bahut takheer say laikin...
Khula yeh bhed khud par bhi...
Kay
...
Ab tak mohabbat Jaan kar Jis...
Jazba e dareena ko apnay lahu say siinchta aya...
Woh Jis ki shaahat sadd e mehrban hi...
Zindagi ki shart thehri thi...
...
Faqat ek shayiba hi tha mohabbat ka...
...
Yon hi adat thi har rastay pe...
Us kay sath chalnay ki...
Wagarna...
...
Tark e khowaish par...
...
Yeh dil thora sa tou dukhta...
Zara si ankh tou namm hoti...!!

Thursday 5 April 2012

Saza..


Bara dushwaar hota hai....


Impossible by Wasi Shah..


janna janna...


Mudtoon se yahi Aalim na tuwaqa na umeed
Dil pukaray hi chala jata hai janna janna

Hum bhi kia sada the, hum ne bhi samjh rakha tha
Ghum-e-dooran se juda hai ghum-e-Janna janna

Ab ke kuch aisi sajhi mehfal-e-yaaran janna
Ser ba rano hai koi ser be-gireeban janna

Her koi apni hi awaz se kanp uthta hai
Her koi apne hi saye se harasaan janna

Jisko dekho wohi zanjeer paa lagta hai
Shehar ka shehar huwa dakhal-e-zindaan janna

Hum ke roothi hoi rut ko bhi manna laitay the
Hum ne dekha hi na tha mousam-e-hijraan janna

Hosh aya to sabhi khawab the reeza reeza
Jaisay urte hoye awraaq parishaan janna

Monday 2 April 2012


تمہی میں دیوتاؤں کی کوئی خُو بُو نہ تھی ورنہ

کمی کوئی نہیں تھی میرے اندازِ پرستش میں
یہ سوچ لو پھر اور بھی تنہا نہ ہو جانا
اُسے چھونے کی خواہش میں اُسے پانے کی خواہش میں
بہت سے زخم ہیں دل میں مگر اِک زخم ایسا ہے
جو جل اُٹھتا ہے راتوں میں جو لَو دیتا ہے بارش میں

Wednesday 7 March 2012

Khwab-e-safar per saath chalain gay../



Ik shab aankh kinaray

Ik doojay ka haath pakar ker … 
Jhootay sachay ehed karain gay, 
Main kuch un dekhay sapnon ki ..
Ungli thaam kay lay aaon gee,
Tum kuch ru-pehli taberain ..
Zaad-e-safar kay taur per lana … …
Ho sakta hai khwab-e-safar main
Barish bhi ho, aandhi bhi ho
Ho sakta hai toofanon nay,
Shart safar say baandhi bhi ho …
Ho sakta hai kuch jugnoo, kuch taaray
Apni raah main aain
Ho sakta hai ghor andhairay main hi
Hum donon kho jain
Is jungle main nadi kinaray
Thoray sapnay bo aain gay
Aur behti nadi main donon
Gham ki gard bhi dho aain gay
Ik bargad kay pair kay neechay
Teray shanay per sir rakh ker
Main apnay sab dukh ro loon gee
Tum apni jalti aankhon per
Meri barf hatheli rakhna .. !
Tum yadon kay roshan jugnoo
Apni mutthi main bhar lena
Main bhi aanchal kay pehloo main
Ujli yadain rakh laoon gee
Is dauraan hi khwab ki devi
Hum donon say haath chura ker
Such ki bheer main kho jaye gee..!
Chahay such kitna karwa ho
Dukh ko maat to ho jaye gee..!
Phir tum neend nagar ko jana
Main khwabon main reh jaoon gee
Ik shab aankh kinaray
Neend say pehlay aao
Khwab-e-safar per saath chalain gay!

ek khwaab aur..!!

khwaab ab Husn-e-tasavvur ke ufaq se haiN pare
dil ke ek jazbaa-e-ma’suum ne dekhe the jo khawaab
aur ta’beeroN ke tapte hue sehraaoN meN

tashnagii aabla-paa, sh’ola-bakaf mauj-e-saraab
ye tau mumkin nahiin bachpan ka ko’ii din mil jaaye
yaa palat aaye ko’ii sa’aat-e-naayaab-e-shabaab
phuuT nikle kisii afsurdah tabassum se kiran
yaa damak uTThe kisii dast-e-buriidah meN gulaab
aah ! patthar kii lakiireN haiN ke yaadoN ke nuquush
kaun likh saktaa hai phir umr-e-guzishtaa kii kitaab
beete lamHaat ke soye hue tuufaanoN meN

tairte phirte haiN phuuTii huii aaNkhoN ke Habaab
taabish rang-e-shafaq, aatish ruu-e-Khurshiid
mal ke cHehre pe saHar aayii hai KhuuN aHbaab
jaane kis moR pe, kis raaH meN kyaa beetii hai
kis se mumkin hai tamannaoN ke zakhmoN ka Hisaab
aastiinoN ko pukaareNge kahaaN tak aaNsuuN
ab tau daaman ko pakaRte haiN lahuu ke gardaab
dekhtii phirtii hai ek ek ka munh khaamoshii
jaane kyaa baat hai sharmindah hai andaaz-e-Khitaab
dar-ba-dar thokareN khaate huve phirte haiN savaal
aur mujrim ki tarah unse gurezaaN haiN javaab
sarkashii, phir maiN tujhe aaj sadaa detaa huN
maiN teraa shaa’iir-e-aawaaraa-o-be-baak-o-Kharaab
pheNk phir jazbaa-e-betaab ki aalam pe kamand
ek khwaab aur ai himmat-e-dushwaar pasand

lamhoN ke chiraaGh....


vo niiNd kii tarah narm sabzaa

KhvaaboN kii tarah ramiidaa shabnam
phuuloN kii tarah shaGhuftaa chehre
Khushbuu kii tarah latiif baateN
kirnoN kii tarah javaaN tabassum
shoale kii tarah dahaktii Khvaahish
taaroN kii tarah chamaktii aaGhosh
saaGhar kii tarah chalakte siine
sab qaafilaa-e-’adam ke raahii
vaadii-e-’adam meN chal rahe haiN
taariikiyoN ke khile haiN parcham
lamhoN ke chiraaGh jal rahe haiN
har laamhaa hasiin aur javaaN hai
har lamhaa faroGh-e-jism-o-jaaN hai
har lamhaa aziim-o-jaavidaaN hai

Ham Ne Soch Rakhaa Hai

Ham Ne Soch Rakhaa Hai
Chahe Dil Ki Har Khuwahish
Zindagi Ki Aankhon Se Ashk Ban K Beh Jaie
Chahe Ab Makeenon Per
Ghar Ki Saari Deewarain
Chat Sameet Gir Jaien
Aur Be-Muqadar Hum
Is Badan K Malbe Main Khud Hi Kion Na Dab Jaaien

Tum Se Kuch Nahin Kehna !

Kaisi Neend Thi Apni
Kaise Khwab The Apne
Aur Ab Gulabon Per
Neend Wali Aankhon Per
Narm-Khu See Khuwabon Per
Kion Azab Tote Hain

Tum Se Kuch Nahin Kehna !

Ghir Gaie Haain Baton Main
Be-Libas Baton Main
Is Taarah Ki Raton Main
Kab Chiragh Jalte Hain, Kab Azab Talte Hain
Ab To In Azabon Se Buch K Bhi Nikalne Ka Raasta Nahin Jaanan
Jis Tarah Tumhain Such K Lazawal Lamhon Se Wasta Nahin Jaanan

Ham Ne Soch Rakha Hai
Tum Se Kuch Nahin Kehna..!!

jab bhii chuum letaa huN un hasiiN aaNkhoN ko...!!!

Jab bhii chuum letaa huN un hasiiN aaNkhoN ko
sau chiraaGh andhere meN jhilmilaane lagte haiN
Khushk Khushk hoNTon meN jaise dil kheNch aataa hai
dil meN kitne aa’iine TharTharaane lagte haiN

phuul kyaa, shiGhuufe kyaa, chaaNd kyaa, sitaare kyaa
sab raqiib qadmoN par sar jhukaane lagte haiN
zehn jaag uThtaa hai, ruuh jaag uThtii hai
naqsh aadmiyaat ke jagmagaane lagte haiN
lau nikalne lagtii hai mandiroN ke siine se
devtaa fazaaoN meN muskuraane lagte haiN

raqs karne lagtii haiN muurateN Ajanta kii
muddatoN ke lab-bastaa ghaar gaane lagte haiN
phuul khilne lagte haiN ujRe ujRe gulshan meN
tishnaa-tishnaa ghatii par abr chhaane lagte haiN
lamha bhar ko ye duniyaa zulm chhoR detii hai
lamhaa bhar ko sab patthar muskuraane lagte haiN

jab bhii chuum letaa huN un hasiiN aaNkhoN ko...!!!

vo koii aur na thaa chand Khushk patte the...


vo koii aur na thaa chand Khushk patte the 
shajar se TuuT ke jo fasl-e-gul pe roye the


abhii abhii tumhen sochaa to kuchh na yaad aayaa
abhii abhii to ham ek-duusare se bichhre the

tumhaare baad chaman par jab ik nazar Daalii
kalii kalii mey Khizaan ke chiraaG jalte the

tamaam umr vafaa ke gunaah_gaar rahe
ye aur baat ki ham aadamii to ache the

shab-e-Khaamosh ko tanhaaii ne zabaaN de dii
pahaar guuNjte the dasht san_sanaate the

vo ek baar mare jin ko thaa hayaat se pyaar
jo zindagii se gurezaaN the roz marate the

naye Khayaal ab aate hain Dhal ke zahan mey
hamaare dil mey kabhii khet lah lahaate the

ye iratiqaa kaa chalan hai ki har zamaane mey
puraane log naye aadamii se Darte the

'Nadeem' jo bhii mulaaqaat thii adhuurii thii 
ki ek chehre ke piichhe hazaar chehre the

maruun to mai kisii chehare mey rang bhar jaauN


maruun to mai kisii chehare mey rang bhar jaauN 

'Nadeem' kaash yahii ek kaam kar jaauN 


ye dasht-e-tark-e-muhabbat ye tere qurb kii pyaas 
jo izaan ho to terii yaad se guzar jaauN

meraa vajuud merii ruuh ko pukaarataa hai
terii taraf bhii chaluuN to Thahar Thahar jaauN

tere jamaal kaa partau hai sab hasiinon par
kahaan kahaan tujhe DhuNduun kidhar kidhar jaau

mai zindaa thaa ki teraa intazaar Khatm na ho
jo tuu milaa hai to ab sochataa hun mar jaauN

ye sochataa hun ki mai but parast kyun na huaa
tujhe qariib jo pauuN to Khud se Dar jaauN

kisii chaman mey bas is Khauf se guzar na huaa 
kisii kalii pe na bhuule se paau na dhar jaauN

ye jii mey aatii hai taKhliiq-e-fan ke lamhon mey
ki Khuun ban ke rag-e-sang mey utar jaauN