Thursday 16 May 2013

Wo Be-irada Hi Sahi

Wo Be-irada Hi Sahi, Titlioon Mein Rehta Hai
Ke Mera Dil To Meri Muthioon Mein Rehta Hai

Mein Apne Hath Se Dil Ka Ghala Daba Doon Gi
Mere Khilaaf Yahi Shazishoon Mein Rehta Hai

Bacha Ke Khud Ko Ghuzrna Mahaal Lagta Hai
Tamam Shehar Mere Rastoon Mein Rehta Hai

Meri Kitaab-E-Mohabbat Mein Uska Ziker Nahi
Wo Khush Khayal Ghalat Fehmioon Mein Rehta Ha

Noshi Gillani

Kuch Bhi Kar Guzarny Mein Dair Kitni Lagti Hy

Kuch Bhi Kar Guzarny Mein Dair Kitni Lagti Hy?
Barf Ky Pighalny Mein Dair Kitni Lagti Hy?

Uss Ny Hans Kar Dekha To Muskura Diye Hum Bhi
Zaat Sy Nikalny Mein Dair Kitni Lagti Hy?

Hijar Ki Tamazat Sy Wasl Ky Alaao Tak
Larkiyon Ky Jalny Mein Dair Kitni Lagti Hy?

Baat Jaisi Be-Ma'ani Baat Aur Kia Ho Gi?
Baat Ky Mukarny Mein Dair Kitni Lagti Hy?

Za'am Kitna Karty Ho Ik Charagh Per Apny
Aur Hawa Ky Chalny Mein Dair Kitni Lagti Hy?

Jab Yaqeen Ki Banhon Per Shak Ky Paon Parr Jaen
Choriyan Bikharny Mein Dair Kitni Lagti Hy?

Noshi Gillani

Ankhon Ke Paar Chaand

Yeh Jo Fiza Naward Hai Ankhon Ke Paar Chaand
Bichrey Huyon Ka Dard Hai Ankhon Ke Paar Chaand

Utra Tha Ek Ajeeb Sa Khadsha Milan Ki Raat
Ab Tak Kahein Pe Zard Hai Ankhon Ke Paar Chaand

Aandhi Koi Thaher Si Gai Hai Fizaon Mein
Shab Bhar Se Gard Gard Hai Ankhon Ke Paar Chaand

Shaid Woh Phir Udas Raha Hai Tamaam Shab
Dekho To Kitna Sard Hai Ankhon Ke Paar Chaand

Pheli Hai Yon Tumhari Muhabbat Ke Ab Humein
Har Soo Har Ake Fard Hai Ankhon Ke Paar Chaand

Farhat Abbas Shah

Samay Samay Ki Khalish

Samay Samay Ki Khalish Men Tera Malal Rahe
Judaiyon Men Bhi Yun Alam-E-Visal Rahe

Ana Ki Jang Men Ham Jeet To Gaye Lekin
Phir Us Ke Bad Bahut Der Tak Nidhal Rahe

Rah-E Junun Men Yahi Zad-E-Rah Hotaa Hai
Ke Justaju Bade Divanagi Bahal Rahe

Hasin Raten Bhi Mahaken Tumhari Yadon Se
Karde Dinon Men Bhi Pal Pal Teraa Khayaal Rahe

Farhat Abbas Shah

Monday 6 May 2013

Zindagi...

Meri Zindagi to FiraaQ hai Wo Azal se Dil k Makeen Sahi

Wo Nigah-e-Shoq se Door hai
Rag-e-Jaan se Laakh Qareeb Sahi..

Sar-e-Toor ho
Sar-e-Hashar ho,
Hamain Intizaar Qabool hai

Wo Kabhi miley
wo kahin miley,
Wo kabhi Sahi
wo kahin Sahi..

Kya, agar Mera un pr Bus nahi,
k ye Aashqi hai Hawas nahi

Main Unhi ka tha
Main Unhi ka hon,
Wo Mere nahi to na Sahi..

Jo ho Faisla woh sunaiye,
Usey Hashar pr na Uthaiye

Jo karen ge Aap Sitam wahan,
wo abhi sahi
wo yahin Sahi..

Usey dekhne ki jo Loo lagi,
to dekh hi lain ge HuM
kubhi
Wo Hazaar Aankh se Door ho,
Wo Hazaar
Parda-Nasheen Sahi