Friday 24 January 2014

Gulaab saray jhulas gaye hain by wasi shah

Meri Wafa Ne Khilaaye Thy Jo Gulaab Saray Jhulas Gaye Hain
Tumhari Ankhon Main Jis Qadar Thy
Wo Khwaab Saray Jhulas Gaye Hain

Meri Zameen Ko Kisi Naye Haadsay Ka Hai Intezaar hai Shayad
Gunah Phailnay Lagay Hain Ajar-O-Sawab Saray Jhulas Gaye Hain

Jo Tum Gaye Tou Meri Nazar Pe Haqeeqaton K Azaab Utray
Yeh Sochta Hoon K Kia Karoonga Saraab Saray Jhulas Gaye Hain

Yeh Moajza Sirf Aik Shab Ki Musafaton K Sabab Hua Hai
Tumharay Or Meray Darmiyaan K Hijaab Saray Jhulas Gaye Hain

Usay Batana K Uski Yaadon K Saray Safhay Jala Chuka Hoon
Kitaab-E-Dil Main Raqam Thy Jitnay Wo Baab Saray Jhulas Gaye Hain

Nazar Uthaon Mai Jis Taraf Bhi Muheeb Saaye Hain Zulmaton K
Ye Kia K Meray Naseeb K Mahtaab Saray Jhulas Gaye Hain

Tumhari Nazron Ki Yeh Tapish Hai K Meray Lafzon Pe Aablay Hain
Sawal Saray Jhulas Gaye Hain Jawab Saray Jhulas Gaye Hain

Yeh Aag Khamoshion Ki Kaisi Tumhari Aankhon Main Tairti Hai
Tumharay Honton Pe Darj Thy Jo
Nisaab Saray Jhulas Gaye Hain