Monday 25 November 2013

Tere milney ko be-kal hogaye hain by Nasir Kazmi

Tere Milnay Ko Be-Kal Hogaye Hain
Magar Ye Loog Paagal Hogaye Hain

Bahaarain Le Ke Aaye Thay Jahaan Tum
Wo Ghar Sunsaan Jangal Ho Gaye Hain

Yahaan Tak Barh Gaye Aalaam-e-Hasti
Ke Dil Ke Honslay Shal Ho Gaye Hain

Unhain Sadyon Na Bhoolay Ga Zamaana Yahaan
Jo Haadsay Kal Ho Gaye Hain

Jinhain Hum Dekh Kar Jeetay Thay Nasir
Wo Loog Aankhon Se Ojhal Ho Gaye Hain

Saturday 23 November 2013

Adhori baten hi zindagi hain!

Adhori batain hi zindagi hain
Wo guzari batain hi zindagi hain
Agarcha dil ki udas ujari hoi roton me Bikhar gai hain Kai zamanon se sari batain
Wo guzri batain Sulagti shamon k jalte bujhte alao hi me Pighal gai hain
Adori batain Zaroori batain……
Yeh khushk hoti hoi raggon ki siyah qabron main neem-murda
Dassi hoi khuwahishon ke hamrah Gondhi hoi hain
Yeh ankh ki putliyon me thak k Khatakti palkon pe so gai hain
Tamam batain dorust jaana
Tamam khadshe baja hain lekin
Har ik imkan zindagi me
Ragon me aur rooh ki zameen me
Inhi ki yaden bhatak rahi hain
Inhi ke dum se zaeef jazbon,thatharte lafzon Bojhi tamanaon mai ramaq hai
Adhori batain hi zindagi hain
Wo guzri batain hi zindagi hain
Khayal rakhna………..!
Adhori batain bhola na dena Wo guzri batain bhola na dena
Khayal rakhna Khayal rakhna………..!!

Monday 11 November 2013

Laut ao by wasi shah

Abhi kuch bhi nahin badla,
Darakhton par wohi mausam abi tak muskuratey hain,
Abhi tak surmeyi shamain hamarey sath roti hain,
Abhi tak mere honton per tumhare honton ki khushbu Raqss karti hai, Abhi tak meri ankhon mein tumhare khawb hanstey hain,
Abhi tak mere hathon per tumhari ungliyon ki narm pooron se likhey sab harf zinda hain,
Abhi tak mere seeney mein tumhari saans chalti hai,
Abhi to raston par doodhiya pairon se parney waley sarey naqsh qayem hain, Abhi almaariyon mein sarey tohfey gungunatey hain,
Tumhare khat abhi bhi raat ki tanhai mein mujh se,
Tumhari baat kartey hain,
Bohat se saal guzrey hain, Bohat se waqt beeta hai,
Meri chahat nahin beeti,
Meri himmat nahin guzri,
Abhi kuch bhi nahin badla,
Abhi kuch bhi nahin badla,
Agar chaho,
Agar samjho,
Meri maano,
To laut aao

Kaun?? By jon Elia

Kaun sood-o-ziyaa'n ki duniya mein
Dard-e-ghurbat ka sath deta hai,
Jab muqaabil hon ishq aur daulat
Husnn daulat ka saath deta hai..

Qasidaan-e-Dil by john Elia

Yun to apne qasidaan-e-dil ke paas,
Jane kis kis ke liye peghaam hain, Jo likhe jaate rahe aur'on ke naam,
Mere woh khat bhi tumhare naam hain..

Bazaar! by John Elia

Hai yeh baazaar jhoot ka bazaar,
Phir yehi jinss kyun na tolain hum,
Karke ik doosre se ehd-e-wafaa,
Aao kuch der jhoot bolain hum..

Friday 8 November 2013

Bila jawaaz!! By noshi gilani

Bila Jawaaz Rakhain Khud Ko Beqaraar Bhee Kiun?
Jo TU Nahee Hai Tou Phir Tera Intezaar Bhee Kiun?
Akailay Pan Ka Safar Jab Mera Muqaddar Hai
Tou Phir Ay Waada-Shikan Tera Intezaar Bee Kiun?
Ose Ganwa Ke Ab Raho Khizaaon Ki Zad Mein
Jo Wo Nahee Hai Tou Phir Mausam-e-Bahaar Bhee Kiun ?
Agar Bhulaaye Howay Osko Ek Umar Howi
Tou Phir Ye Aaj Tabyat Hai Sogwaar Bhee Kiun ?
Jab Osko Shoq Tha Raston Ki Dhool Honay Ka
Palat Kar Dekhta Jaata Tha Baar Baar Bhee Kiun ?

Thursday 7 November 2013

A romantic poem by Qateel Shifai

Jism Ke Jazeeray Mein,
Ye Jo Dil Ki Vaadi Hai
Is Pe Raaj Hai Jis Ka,
TU Wo Shehzaadi Hai
Apnay Dar Pe Sajdon Ki Raah Kia Dikha Di Hai
TU Ne Mere Maathay Per Zindagi Sajaa Di Hai
Tujh Ko Bhoolna Chaahon, Aur Shikast Khaa Jaon
Kitni Be-Waqar Apni Quwwat-e-Iraadi Hai
Justuju Ke Sehraa Mein Ab Kahan Koi Aanchal ?
Mein Ne Apni Chhaon Bhi Dhoop Mein Ganwa Di Hai
Yaad Kar Ay Taaj Kubhi Tu Bhi Os Mohabbat Ko
Jis Ne Tere Marmar Ko Chaandni Pila Di Hai
Mera Saath Kia Dega Shaikh Barsar-e-Mehfil ?
Wo TOu Chhup Ke Baichaarah Jhoomnay Ka Aadi Hai
Dost Sab Qateel Apnay Tul Gaye Raqaabat Per
Mein Ne Koi Dil Ki Baat Jub Unhain Suna Di Hai