Monday, 20 February 2012

Mere Salgiraa !!


Zindagi... taiz bahut taiz hawa ka jhonka
Jalti bhujti huwi sham'ain mein mah-o-saal mere
Dhalta suraj mere maazi ke lehad ka qutba
Raig-e-sehra ki lakeerain hain khad'o'khal mere

Aaj ki shaam, ke har saal issi shaam ke saath
Meri ukhri huwi saansoon mein girah lagti hai
Aasmaan wakt ke aanchal ki dhanak bunta hai
Saari dharti tan-e-arreyaan ki zirrah lagti hai

Aaj ki shaam ke har saal mere zakhm nawaz
Muskurate huwe kuch phool ata karte hain
Kuch maseha meri khaatir mera dil rakhne ko
Khat mein jeene ki dua bhi diya karte hain

Saal-ha-saal guzarne pe bhi ay dil zadgaan
Aaj ki shaam manate huwe dar lagta hai
Muskurate huwe chehroon ke bhanwar hain lekin
Aakhri shamma jalate huwe dar lagta hai

Dil dharakta hai ke jalti huwi sham'oun ka dhuwaan
Shoula-e-karb mein thehleel na hojaye kaheen
Ji larazta hai ke manzar ke adhore pan ki
Aaj ki shaam se takmeel na hojaye kaheen

Aao kuch dair ko hum zakhm shumari kar lain
Aur kuch dair mein har shamma phighal jayegi
Aaj ki bazm mein khoo jayain kaheen so jayain
Aaj ki shaam bhi kuch dhair mein dhal jaayegi
Jalti bhujti huwi sham'oun ka bharosa kya hai
Zindagi.. taiz bahut taiz hawa ka jhonka ..

Mohsin Naqvi

No comments:

Post a Comment