Friday, 24 February 2012

ishq kaa jaaduu

meraa tamaam fan merii kaavish meraa riyaaz 
ik naa-tamaam giit ke misare hain jin ke biich 
maanii kaa rabt hai na kisii kaafiye kaa mel 
anjaam jis kaa tay na huaa ho ik aisaa khel 
merii mataa bas yahii jaduu hai ishq kaa 
siikhaa hai jis ko main ne barii mushkilon ke saath 
lekin ye saahir-e-ishq kaa tohfaa ajiib hai 
khulataa nahiin hai kuchh ke haqiiqat men kyaa hai ye 
taqadiir kii ataa hai yaa ko_ii sazaa hai ye 
kis se kahen ai jaan ke ye qissaa ajiib hai 
kahane ko yuN to ishq kaa jaduu hai mere paas 
par mere dil  ke vaaste itanaa hai is kaa bojh 
siine se ik pahaar saa haTataa nahiin hai ye 
lekin asar ke baab men halkaa hai is qadar 
tujh pe agar chalaaun to chalataa nahiin hai ye


Amjad Islam Amjad

No comments:

Post a Comment